28 Mar 2013

kisi ki soch hooN na shamil-e-azkaar hooN meiN


kisi ki soch hooN na shamil-e-azkaar hooN meiN
nihal-e-dard pay bhi yak wajood-e-khaar hooN meiN

zamana mujh ko mitti mein mila kay khush howa har baar
namoo-e-jaawdaani say magar har baar hooN meiN

zaroorat per meray hi khoon say jalti rahain shammein
agar che her kisi ki aankh meIN bay kaar hooN meiN

khushi kay mausmooN mein sadka-o-khairaat ka waris
zubooN kay zaichooN mein per ghiza-e-daar hooN mein

mujhay insaaf jaisi shai pay koi haq nahin hasil
mujhay qanoon nay samjhaya hai lachaar hooN mein


mujhay her shakhs ki har baat ki bhi laaj rakhni hai
aseer-e-khauf hooN aur kushta-e-adwaar hooN mein!

No comments: