31 Mar 2013

wo yoon mila k bazahir khafa khafa sa laga

wo yoon mila k bazahir khafa khafa sa laga
wo dosroon sey magar mujh ko kuch juda sa laga

mizaaj us nay na pocha magar salam liya
ye be-rukhi ka saleeqa bhi kuch bhala sa laga

wo jis ki kum-sukhani ko ghoroor samjha gaya
meri nigah ko wo paikar-e haya sa laga

main apney karb ki rodaad us sey kiya kehta
khud us ka dill bhi mujhe kuch dukha dukha sa laga

ghubaar-e waqt nay kuch yoon badal deye chehrey
khud apna shehr bhi mujh ko naya naya sa laga

ghuti ghuti sey lagi raat unjuman ki fiza
charagh jo bhi jala kuch bujha bujha sa laga

jo hum pe guzri hay shaid sabhi pe guzri hay
fasana jo bhi suna kuch suna suna sa laga

main ghar sey chal k akela yahan tak aaya hon
jo hum-safar bhi mila, kuch thaka thaka sa laga

kuch is kholoos sey us nay kaha mujhe 
khud apna naam bhi mujh ko bohat bara sa laga

No comments: